Main sochta hoon kyon , meri kashtiyon ko kinaare nahi milte,
Chaand aata nahi nazar , kyon sitaare nahi milte...
Gar koi ranj hi tha , to rishte ka naam kyon diya usko,
Na mitaata main bhi hasti apni , jo tere ishaare nahi milte....
Ab ye bhi batati ja ...mujhko , ye koi aadat hai ya fitrat teri,
Kuch dinon ki dillagi , phir woh nazaare nahi milte...
Koi shikwa nahi khuda se , par ye shikayat zarur rahegi,
Kisi ko to milti hai khushiyaan tamaam , hamein to gham bhi saare nahi milte...
Bas ab bhar gaya hai dil , is gam-e-duniya se mera,
Chhod kar chalta hoon vahaan , jahaan gam ke maare nahi milte.......!!
No comments:
Post a Comment